Woh Jo Hum Mein Tum Mein – Abida Parveen: Download MP3 Worlds Largest Collection of Qawwali, Arfana & Sufiana Kalam, Hamd & Naat

Woh Jo Hum Mein Tum Mein – Abida Parveen abida parveen

Ghazal Momin Khan Momin/Poetry ,ﺍﺭﺩﻭ urdu 

 

 

Download (Right click + save target as, or save link as)

 

Lyrics [All Lyrics of Momin Khan Momin 1800 – 1851 are in Public Domain. Written in Roman by TheSufi.com]

 

Woh Jo Hum Mein, Tum Mein, Qarar Tha, Tumhay Yaad ho ke Na Yaad Ho
Wohee Yaani Waada Nibah ka, tumhain yaad ho ke Naa yaad ho

Woh jo lutf mujh pe thay peshter, woh karam k tha meray haal per
Mujhay sab hai yaad zara zara, tumhain yaad ho k na yaad ho

Woh nayay gilay, woh shikayatein, woh mazay mazay ki hikayatein
Woh har ek baat pe roothna, tumhain yaad ho k na yaad ho

Kahin baithay sab mein jo roobaroo, to isharaton hi mein guftagu
Woh bayan shauq e bermala, tumhain yaad ho k na yaad ho

Hoay ittfaq se ger baham, to wafa jatanay ko dam ba dam
Gilaa-e-malamat-e-aqraba, tumhain yaad ho k na yaad ho

Koi aisee baat ager hoi ke tumhaare jee ko buri lagi
To bayaan se pehlay hi bhoolna, tumhain yaad ho k na yaad ho

Kabhi ham mein tum mein bhi chah thee, kabhi ham se tum se raah thee
kabhi ham bhi tum bhi thay aashna, tumhain yaad ho k na yaad ho

Suno! zikr hai kayi saal ka, ke kia ek aap ne wada thaa
so nebahnay ka to zikr kia, tumhain yaad ho k na yaad ho

Woh bigarna wasil ki raat ka, woh na manana kisi baat ka
Woh naheen naheen ki her aan adaa, tumhain yaad ho k na yaad ho

Jisey aap gintay thay aashna, jisay aap kehtay thay bawafa
mein wohee hoon Momin-e-mubtilaa tumhain yaad ho k na yaad ho