Lagtaa Nahin Hai Dil Mera Ujray Dayar – Kalam Bahadar Shah Zafar

Miniature of Bahadar Shah Zafar

Miniature of Bahadar Shah Zafar by Naqsh School of Art Lahore

 

 

Lagtaa nahin hai dil mera ujray dayar mein
kis ki bani hai aalam-e-naa_payedaar mein

kah do in hasraton se kahin aur jaa basein
itani jagah kahaan hai dil-e-daagdaar mein

umr-e-daraaz maang kar laaye they chaar din
do arzoo mein kaT gaye do intazaar mein

kitnaa hai bad_naseeb “Zafar” dafn key liye
do gaz zamin bhi na mili kuu-e-yaar mein

 

لگتا نہیں ہے دل میرا اجڑے دیار میں
کس کی بنی ہے عالم نہ پایا دار میں

کہ دو ان حسرتوں سے کہیں اور جا بسیں
اتنی جگہ کہاں ہے دل داغدار میں

عمر دراز مانگ کے لاے تھے چار دن
دو آرزو میں کٹ گۓ دو انتظار میں

کتنا ہے بدنصیب ظفر دفن کے لیے
دو گز زمین بھی نہ ملی کوے یار میں

 

 



You may also like...